Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

              Hazrat Muhammad Murad Ali Khan

                                                          Rahmatullah Alayh

Hazrat Murad Ali Khan RA 1880 mein India k mushoor sheher Hushyar Pur mein paida huay. App k walid sahib ka naam Hazrat Muhammad Ali tha. Jo k khud ek boht barey kamil wali thay. Jab app zra barey huay to deni taleem k liye apke walid sahib ne qareebi madrasay mein dakhil krwadya jahan per apney Molvi Allah Buksh se taleem hasil ki jo k mushoor sufi buzurg Hazrat Buhlay Shah RA k qareebi azeez  thay. Ibtadai taleem k baad apke walid sahib ne apko school mein dakhil krwadia. App pedaishi tor pe wali thay.

App k school ke zamanay ka waqia boht zyada mushoor hai k doraan class kisi bachay ka qalam bananay wala chaku gum ho gya to us bachay ne kaha ke mera chaku Murad Ali Khan ne nikala hai. Master sahib ne beghair tasdeeq kiye app ko saza ke tor per class se bahir nikaal diya. Aur chutti waqt tak app class se bahir hi rahe. Jis rastey se tamam bachay ghar wapis aya krte thay wahan ek dervesh ka dera tha. Bachay wahan pani peenay k liye ruk jatey thay. Woh tamam bachon khas ker app se boht pyar krta tha. Bachon ne us dervesh ko btaya k Murad Ali Khan ko master sahib ne ek bachay ka chaku nikalnay k ilzaam mein aj class se bahir nikaal diya tha jiski wajah se woh aj tamam din ki parhai mein hisa na le sake. Yeh sun kr dervesh ne app ke moun per beghair sochay samjhe ek thappar mar diya aur kaha k bachon k chaku nikaltey ho. App sara rasta rotay huay ghar wapis agay. App k walid aur walida muhtarma ne ronay ka sabab pocha to app ne sara majra byan krdya. Dono ne app ko tasali di jisse apke dil ko sukoon mila. Abhi aadhi hi raat guzri thi k woh dervesh app ke drwazay per agya aur app ke walid sahib se drkhwast ki k apney bachay se keh kr mujhay muafi dilwadein. Woh sakht preshan tha kehnay laga rozana raat ko meri Huzoor-e-Ghaus-e-Pak RA ke darbaar mein hazri hoti hai aur mujhe unke nazdeek hi jaga milti hai lekin aj darbaar tak rasai nai ho rahi thi. Phir Huzoor Ghaus Pak RA ne farmaya tum ne humarey ek sahubzaday ko thappar mara hai jao pehlay is se muafi mang k ao. Mein is wastey hazir hua hon k app bachay se keh kr mujhe muafi dilwadein. App k walid muhtaram ne apko jagaya aur saari sorat-e-haal btai to app ne usi waqt us dervesh ko muaf krdya aur woh app ko duain deta hua chala gya. Us dervesh ki jab dobara jab darbar-e-Ghousia mein rasai hui to kya dekhta hai k app Huzoor Ghaus Pak RA ki goud mein bhetay huay saib kha rahay hain aur Huzoor Ghaus Pak RA app ke balon mein unglian pher rahay hain.

 App ne mukhtalif jaghon se zahri, deni aur batni taleem hasil ki. App ke asataza mein Molvi Allah Buksh, Qari Zahoor Ahmed, Mufti Fateh Muhammad aur Ustaad Kudratullah Dehlvi qabil-e-zikar hain. App ne Molvi Fazil aur Munchi Fazil ki degrian  hasil kein. Iske ilawa apne English, Persian, Arabic per uboor hasil kya. Baatni tor per app ne Huzoor-e-Ghaus-e-Pak RA aur Hazrat Syed Abdul Razaq se faiz hasil kya. App ne khud farmaya k main paanch saal ki umr se paanch namazein bima tahajad k bakaidgi se ada kr raha hon.

App ne both sara waqt apne murshid kamil ko talaash krne mein guzara. Isi waja se app ne puray Pak-o-Hind ka safar kya lekin gohar-e-muqsood haath na aya. App ne Sultan al Arfeen ke darbar mein hazri di. Isi tarhan app Golara Sharif bhi gaey aur wahan chila kasha ki lekin appp ki tasali nahi hui. Is ke baad app ne Karachi mein bhi 2 maah guzarey aur Mungo Peer ke darbar mein beth kar chila kasha ki. Phir app Sultan al Mashaikh Hazrat Nazam uddin Aulia RA ke darbar mein hazir huay to wahan se irshaad hua k ghar wapis jao aur intezaar karo jald hi manzil mil jaey gi. Wahan se app Ajmir ke liye rwana huay aur Ajmir se Lahore phir Pakpattan , phir Chishtian se hotay huay wapis apney gaon chak number 333 Peer Mahal jo us waqt zila Faisalabad mein tha wapis aa gaey. Gaon wapis aa kar app ne apne zarae rakbay ke saath ek school ki bunyad rakhi jo Mashallah aj Faridia Degree College ki shakl ikhtyar kr chuka hai.

Phir who waqt bhi agya jis ke intezaar mein apne puray Pak-o-Hind ka safar kyat ha. Apke gaon mein salana mehfil-e-millad thi. Apke gaon k eek buzurg jinko sab mian ji kehtey thay unke peer sahib Hazrat Syed Ejaz Hussain Shah RA is mehfil k mehman-eKhasoosi thay. Mehfil shuru hui to mehman-e-Khasoosi  ne mian ji se pocha kya sara gaon aya hua hai. To mian ji bolay k Hazrat sahib ek sahib Molvi Murad Ali Khan RA nahi aye kyunke yeh waqt unki ibadat ka hota hai. Mehman-e-Khasoosi ne apko bulanay ki khwahish ka izhaar kya. Chunancha ek admi apko bulanay ke liye bheja gya. App tashreef le aye lekin pindaal mein bethnay ki jaga nahi thi. Har taraf logon ke sar ho sar nazar a rahay thay. Jab apko bethnay k liye koi jaga nazar na ayi to app pindaal se bahir ek drakht ke saath tek laga kr beth gaye. Mehman-e-Khasoosi Hazrat Syed Ejaz Hussain Shah RA jo apney waqt ke Kamil wali aur Kutb thay unhon ne apko dekha aur pukara Molvi sahib humarey pass ajaye. App paas aye to Syed Ejaz Hussain Shah RA sahib ne barh kr apko senay se laga lya. Ashiq aur Mashuq ikathay huay to manzar dekhnay wala tha. Hazrat Shah Shib ne kharay kharay mehfil se khitaab kya aur kaha ke main jis gohar ki talaash mein Rampur UP se Punjab ke is gaon mein ayah on who mujhe mil gya hai aur Allah tala ka bara fazl hai ke jo amanat mujhe sonpi gai thi  who asal haqdar ko lota raha hon.  App ne Hazrat Syed Ejaz Hussain Shah RA ke haath per baiyt ki aur asloob ki manzalein the krte huay Fana fil-shaikh se fana fil-rasul aur phir fana fil-rasul se fana fi-Allah ho gaey. Hazrat Syed Ejaz Hussain Shah RA Sahib ne apko Charon silasil yani Naqshbandia, Chishtia, Qadria aur Suhurwardia ki khalaftein ata kein aur apna Khalifa-e-Azam mukarar farmaya. Log jol der jok apse faiz hasil krne k liye hazir honay lagay. App ke mureedan-e-Haq ki tadaad hazaron mein hai. Akhir 14 August 1968 bamutabiq 19 Jamadi Awal 1388 Hijri baroz mangal talbi ka pegham a gya aur peer-e-Kamil is alim-e-napaidar se alim-e-baqa ki taraf kooch kar gaey. Inna lilah wa inna ilayh rajion. Allah tala apko apni jawar-e-Rehamt mein jaga de aur apke darjaat buland farmaye. Amin sum Amin. Apko Sadiqabad zila Raheem Yar Khan Pakistan mein bad-az dopahar supard-e-Khak krdia gya..

Hazrat Maqbool Ahmed RA